
Sawaal anek
jawaab sirf ek.
Nahi sirf aaj, kal, parso,
dekhi hain raah barso.
Ab jab hain itne dur
tab kya hi fitoor?!
Kuch toh kahein, ek lafz ya ek kafiya,
taras gaye hai ab, dher hui tanhaiya.
Tum kaho, main suno,
bas yahi ek sukoon.
Dastak, aahat, ishara hoga kaafi,
di hai humne arji, maang li hai maafi.
Yaadon ke sahare katenge din,
jiye hain aur yuhi jiyenge tere bin.